Haaye Hussain Pyaase Hussain – Utho Husain Bahen Aaj Besahara Hai
Wordings
English
Haaye Hussain pyaase Hussain
Barhena Sar phiren yeh kaam kya hamara hai
Nabi ki aal ko kis kis sitam se maara hai
Har ek taraf se adawat ne sar ubhara hai
Hamari simth musibat ka ek dhara hai
Lahad par bhai ki Zainab ne yun pukara hai
Utho Husain bahen aaj besahara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain
Tumhare Baad phiriN hooN MaiN dar-ba-dar Bhai
Rahin main shaam ke zindan mein nauhagar Bhai
Dikhaya dasht mein rakha tumhara sar Bhai
Yeh woh sitam hai ke khoon ho gaya jigar Bahi
Mere Kalaje par zalim ne teer mara hai
Utho Husain bahen aaj besahara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain
Mai bin Tumhare watan bhi to ja nahin saktin
Madine waloN ko soorat bata nahin saktin
Kahani qaid e sitam ki suna nahin saktin
Jo neel shanoon par haiN woh dikha nahin saktin
Yeh hal-e-zaar Mera kya tumhe gawara hai
Utho Husain bahen aaj besahara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain
Jawan Madine ke poocheN ge sare Akbar ko
Alam ko dekh ke Abbas-Ibne-Haidar ko
Sabhi ko shauq hai dekhen Hasan ke Dilbar ko
Yaqeen hai maange gi Sughra tumhare Asghar ko
KahooN-gi kaise ke fauje e sitam ne maara hai
Utho Husain bahen aaj besahara hai
Haaye Hussain pyaase Hussain
