Chehlum Ke Roz Qabr Pe Hamsheer Aayi Hai
Wordings
English
Eik gham ki aur dard ki badli si chhai hai
Khaak e Lahed meiN Bhai ki Khushbu si paai hai
Eik Be-watan chirag haqiqat ke laai hai
Har har qadam pe taaza musibat uthai hai
Tumne Hussain dasht meiN basti basai hai
Chehlum ke roz Qabr pe Hamsheer aai hai
Faryaad aur dard ke naale nahiN rahe
EimaN ke chand, Chand ke haale nahiN rahe
Ujda makaan GesuoN-wale nahiN rahe
Khali hai goad, goad ke pale nahiN rahe
DushwarioN ne raah e ijazat jo pai hai
Chehlum ke roz Qabr pe Hamsheer aai hai
Daaman meiN khaak e pak ke haq ka chaman mila
Jangal ki khaak mil gai samjho watan mila
Mere to bazuoN ko nishan e rasan mila
Bhai se poochti hai ke Tumko kafan mila
Pyasi agar hai qabr to aaNsu bhi lai hai
Chehlum ke roz Qabr pe Hamsheer aai hai
Yaad aa rahi hai, Qasim e Muztar nahiN rahe
Rota hai khud shabaab, ke Akbar nahiN rahe
VeeraN har ek ki goad hai, Asghar nahiN rahe
Yeh inteha hai, Sibt e Payambar nahiN rahe
Kuch dard dil meiN, aaNkhoN meiN kuch ashk laai hai
Chehlum ke roz Qabr pe Hamsheer aai hai
Bhai, watan meiN paauNgi yeh Raushni kahan
Chordegi ujdi qabr ko ab bekasi kahan
Gham mil gaya ho jisko use phir khushi kahan
Guzregi baad Aap ke yeh zindigi kahan
Kuch khaakh e qabr ro ke lahed se uthai hai
Chehlum ke roz Qabr pe Hamsheer aayi hai
AshkoN ke gul haiN Qasim e Muztar ki qabr par
Jhoole ki yaad aati hai Asghar ki qabr par
Laila kaleja rakkhe haiN Akbar ki qabr par
Khwahar tadap rahi hai Baradar ki qabr par
Turbat na jane kitne dinoN meiN banai hai
Chehlum ke roz Qabr pe Hamsheer aayi hai
AaNkhon mein Dil ka khoon hai dil pur malaal hai
Ab to lahoo se rang shafaq ka bhi laal hai
Turbat jo taza taza mili ghair haal hai
Bhai haiN bekafan to kafan ka khayaal hai
Jo mil gai hai loot ki chadar woh laai hai
Chehlum ke roz Qabr pe Hamsheer aayi hai
Paai ajal ki chhaoN mein manzil hayaat ki
Aey Fazl* mil gaiiN haiN hadeiN kaaenaat ki
Abbas ke qadam meiN hai duniya sabaat ki
Mashkiza yaad karti hain maujeiN furat ki
Qabze me pyase Sher ke ab tak tarai hai
Chehlum ke roz Qabr pe Hamsheer aayi hai
