Sughra Ne Phuphi Se Kaha – Kya Ho Gaye Sarwar
Wordings
English
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha Aun o Mohammad bhi gaye the?
Zainab ne kaha mar gaye Shabbir ke Yawar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha Qasim e Jarrar the humrah?
Zainab ne kaha ho gaye pamaal woh Dilbar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha Hazrat e Abbas kahaN haiN?
Zainab ne kaha haath kata ke gaye Kausar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha Gaesuo’n Wale ko bata do?
Zainab ne kaha mar gaye woh barchiya khakar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha Nanha Musafir toh bacha hai?
Zainab ne kaha teer pada sookhe gale par
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha paas koi aya nahin tha?
Zainab ne kaha saamne maujood thi Khwahar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha Shah ka lahu kisne bahaya?
Zainab ne kaha peet ke sar shimr e sitamgar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha waqt e ziba paani bhi paya?
Zainab ne kaha pyase sidhare sue Kausar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha baad e Shah kya hua ran mai?
Zainab ne kaha aag lagane laga lashkar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha itna zamana kahaN guzra?
Zainab ne kaha qaid mai din kaate hai rokar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha aap khule sar huiN kaise?
Zainab ne kaha shimr e laen le gaya chadar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
((Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Zainab kaha peet ke sar aayi hun lut kar
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?
Sughra ne kaha shah ke Ansar kaha hai?
Zainab ne kaha unko fida kardiya Shah par
Sughra ne Phuphi se kaha, kya ho gaye Sarwar?))
