Mominon Ro Kar Kaho Sibte Payambar Alwida
Wordings
English
MominoN ro kar kaho, Sibte Payambar Alwida
Alwida ai Fatima Zaherra ke Dilbar, Alwida
Deen par ahle Haram ke Dukhtar e ai Shah e Deen
Zainab o Kulsoom kahteN haiN ai Baradar, Alwida
Shah ne farmaya, Bahen ummat na bakshi jaayigi
MaiN na jab tak Shimr se katwaooN ga sar, alwida
Tum na khaime se nikalna, yaad rakhna ai Bahen
Ho mere seene par jab shimr e sitamgar, Alwida
Berida Zainab na aana, jab girooN ghorey se Main
Mujhko sharminda na karna, Zeir e Khanjar, Alwida
Sayyad e Sajjad se ro ro ke kahtey thay Hussain
Ab Tumhare hai hawale, yeh luta ghar, Alwida
Mil chuke jab sab AzizoN se Hussain Ibne Ali
Baad meiN Fizza se kaha Shah ne ro kar, Alwida
Bakshis e Ummat ke khatir, Rann meiN jaateN haiN Hussain
Ai azadaaroN kaho ro ro kar Sarwar Alwida
Jo musibat ho Habib Ibne Mazahir se kahi
Dost thay pyare, Shah e Bekas ke Yawar, Alwida
NaujawanoN Hazrat e Shabbar ke Dilbar se kaho
ChaudwiN ke Chand Akbar ke Baradar, Alwida
Hain jo attharaN baras wale Ghulaamane Ali
Woh kaheN ro ro kar, Hamshakl e Payambar, Alwida
Choom jaate haiN Alam, woh chahne wale kahen
Shah ke Ghamkhwar, Abbas e Dilawar, Alwida
Kya ajab hai, auratoN se Hazrat e Zaibnab kaheN
Tum kaho sar peet ke mauthaj e chadar, Alwida
Sab to rukhsat ho gaye, Nannha Musafir rah gaya
BezabaanoN se kahen jo qatl e Asghar, Alwida
Haq e rukhsat bhi ada hum kar nahiN sakteN Shahab*
Hind meiN phir aayea ga, Ibn e Haider, Alwida
Ai Shah e bekas, lutaya ghar hamare waaste
Hum na khidmat kar sake, Mehboob e Dawar, Alwida
Jo khata humse hui ho, keejiyea usko maaf
Aap pe qurbaan hum haiN, Banda parwar, Alwida
Uth Gaye sab taziye veeraan azakhane hue
Ho gaya Ashra tera, ai Shah e Besar, Alwida
