Yeh Bolin Zainab E Bekas Payaam Laaye Hoon
Wordings
English
Yeh boliN Zainab e Bekas payaam layi hooN
Uthoo Sakeena ka Bhayya salaam layi hooN
Utho jagati huN tumko bhuja lo pyaas apni
Tumhare waaste askhooN ke jaam layi hooN
Yeh boliN Zainab e Bekas payaam layi hooN
Khuda ki raah me Maine luta ke apni rida
Tumhare waaste umr e dawaam layi hooN
Yeh boliN Zainab e Bekas payaam layi hooN
Nisha rasan ke nahi haiN yeh dekhlo Bhaiyya
Likha ke bazuoN par fatha e shaam layi hooN
Yeh boliN Zainab e Bekas payaam layi hooN
Jo mujhse puchenge ahle Watan ke layiN kya
Jawaab doon gi Shaheedo ke naam layi hooN
Yeh boliN Zainab e Bekas payaam layi hooN
Gawah zakhm haiN Aabid ke pao ke Bhaiyya
Phira ke kanton par apna Imaam layi hooN
Yeh boliN Zainab e Bekas payaam layi hooN
Mazaar e Shah pe Anjum* kaha yeh Zainab ne
Tumhare ShiyoN ka Tum par salaam layi hooN
Yeh boliN Zainab e Bekas payaam layi hooN
