Kahte Thay Shah – Ai Ali Akbar Kahan Ho Tum
Wordings
English
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Ai mere laal Ai mere Dilbar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Apne zaeef Baap ki aa kar madad karo
Ghere hue hai shaam ka lashkar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Awaaz dein raheN hai Pisar ko Shah e Huda
Ai naujawan, Shabi e Payambar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Khaime ke dar pa aas lagaye khadi hai Maa
Veeran ho gaya hai bhara ghar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Ro ro ke kah rahi hai Zainab jawab do
Khaime jala rahen hain sitamgar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Laila ke dil ko kaun sambhale mere Pisar
Dar dar phira rahen hai sitamgar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Jab se gaye ho tum, Dil e Madar udaas hai
Aakhon ka noor ai Ali Akbar, kahan ho tom
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Baithi hui hoon mooh ko chipaye zameen par
Aada ne chhen liye meri chadar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Ab shaam ho rahi hai Sakeena ki lo khabar
Ay naujawan, Hussain ke Silbar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Hum ghir chuke hain nargha e aada mein ai Pisar
Durre laga rahe hain sitamgar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Tooti hui kamar ko sambhalo Hussain ki
Kahti hain ro ke Zainab e Muztar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Laila ki aarzoo hai ke eik baar dekh looN
Hum Shakl e Mustafa Ali Akbar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Shah ke gale pa shimr ka khanjar, ghazab hua
Aayi sada ke ai Ali Akbar, kahan ho tum
Kahte thay Shah ai Ali Akbar kahan ho tum
Ahl e haram mein hashr bapa ho gaya Aseem*
Sarwar ne jab kaha Ali Akbar, kahan ho tum