Aao Karen Bayaan Fazeelat Hussain Ki
Wordings
English
Aao kareN bayaan Fazeelat Hussain ki
ShabaaN ki teesri hai Wiladat Hussain ki
Aaya hai aaj Fatah e Khaiber ke dil ka chain
Khushiyan mana rahiN hain Imaamat Hussain ki
Karten hain jhoom jhoom ke Middhat Hussain ki
Shamsh o qamar, Malayaka, HooreN aur Aambiya
Fizza bhi khush hain Fatima Zaherra ke saath sath
Seraab kar rahi hai Ziyarat Hussain ki
Aawaaz de rahi hai Islaam ki hadees MOVED
Kausar bhi hai Hussain ka Zannat Hussain ki
Fitrus ko baal o par miley kis ke tufail mein
Khud usse pooch leejiye Sakhawat Hussain ki
Jiski JabeeN ko dekh ke Islaam jee utha
Kitni thi ba waqaar woh Soorat Hussain ki
Arz o sama ka Mohsin o Mukthar aa gaya
Bole Rasool dekh ke Soorat Hussain Ki
Bugz e Ali meiN phir gaya jo bhi Hussain se
Mehshar mein ho gi usko Zaroorat Hussain ki
Jannat meiN ghar banaye jo rak kar zameen par
Yeh mojize dikhati hai Ulfat Hussain ki
Rahti hai apne chane waloN par har ghadi
Rehmat ke saath saath Inayat Hussain ki
Deen e Nabi bachaya jo toofan e zulm se
Tha hausla Hussain ka Himmat Hussain ki
Hur ko Janab e Hur kiya do-chaar lamhoN meiN
Aisa asar dikhati hai Sangat Hussain ki
Sajde ko tool de ke Nabi ne bata diya
Aala hai do jahaN meiN Azmat Hussain ki
KarteN haiN hum Husain ki middhat is hi liye
Quran mein hai likhi hui Middhat Hussain ki
Hum sab fida e Aal e Mohammad hain ai Raza*
Mehshar ke roz payenge Jannat Hussain ki
