Sham Ke Zindaan Se Yeh Aaye Sada
Wordings
English
Shaam ke ZindaN se aaye yeh (yeh aaye) sada, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Aao Ammu tumko mera waasta, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Main karooN kab tak tumhara intezaar, pyaasi aakheN har ghadi haiN ashkbaar
Lene aao ge mujhe tum kab bhala, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Laakh apne dil ko samjhati (bahlati) hoon Main, par andheroN se dari jaati hoon
Mil rahi hai mujhko yeh kaisi saza, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Karbala se shaam tak ka yeh safar, sakhtiyaN jheliN hain maine raah bhar
Aur ispar zulm yeh zindaaN ka, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Zindigi mein har ghadi thi raushni, dekhte hi dekhte shaam aa gayi
Ab andheroN se faqat hai waasta, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Kya karoon kuch aql meiN aata nahin, koi dukhiya par taras khaata nahi
Kab ruke ga zulm ka yeh silsila, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Neel chere par hain kurta khooN se tar, Main bohut royi hooN Ammu raat bhar
Poochta koi nahi hai kya hua, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Umr choti hai bohut maiN kya karoon, aur kab tak zulm se tanha ladooN
Ho na aisa dam nikal jaye mera, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Qaidkhane meiN har eik shaam o saher, dil ko tadpati rahi yaade padar
Aaj tak toota nahi yeh silsila, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Jaane kab ho mujhko mera ghar naseeb, Main khadi hooN maut se itna qareeb
Deejiye dharas mujhe aa kar Chacha, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Dil mein jeene ki tammanna hi nahin, meri turbat ab bane shayad yahin
Muntazir hai dil faqat ab maut ka, dam ghuta jata hai mera qaid mein
Jab sitam ko sahte sahte thak chuki, Qaidkhane mein Sakina mar gayi
Waqt e aakhir bhi Raza* nauha yeh tha, dam ghuta jata hai mera qaid mein
