Kiya Abbas Ne Hamla – Sare Sahil Wafa Chamki

Wordings

English

Kiya Abbas ne hamla, sarey sahil wafa chamki 
Kaha lashkar ne bhago, barqe noore Murtaza chamki 

Adu bhi deikhkar Abbas ko, aapas meiN kahte thEy 
Jala daleigi sahil ko, jo yeh bijli zara chamki 

Sadaey La’Fata se, Aayaey Tatheer tak suniye 
Ali ki Teigh runn meiN, ghar meiN Zahra ki rida chamki 

Gira Azraq bhi Marhab ki tarha, ghode se do hokar 
Hasan ke laal ki talwar jab, naame Khuda chamki 

Bana deewar meiN dar, Butt girey taaqoN se Kabey ke 
Haram meiN barq e Noor e Haidery, be’inteha chamki 

Ada jo zeire khanjar ho gaya, uss eik Sajde se 
Falak sharma gaya, aisi zameen e Karbala chamki 

Jagah deine lage ahle nazar, dil meiN SalamoN ko 
Tere ashaar meiN Mahir*, jo Salik ki ada chamki

Shares
Scroll to Top