Namaazi Zeire Khanjar Aa Raha Hai

Wordings

English

Namazi, zeire khanjar aa raha hai 

ZameeN se aasmaN takra raha hai 
Namazi, zeire khanjar aa raha hai

Utha to li jawaN beite ki mayyat 
Shahe waala ko chakkar aa raha hai 
Namazi, zeire khanjar aa raha hai 

Shahe DiiN teer khaate ja rahe haiN 
Lahu tan se tapakta ja raha hai 
Namazi, zeire khanjar aa raha hai 

Badho darya ki maujoN leike saaghar 
Ali ka Sheir pyasa aa raha hai 
Namazi, zeire khanjar aa raha hai 

Woh moti ban raha hai, Shahh ke gham meiN 
In aaNkhoN meiN jo aaNsu aa raha hai 
Namazi, zeire khanjar aa raha hai 

Ishaare madhe Maula ke hai Salik* 
Woh Kausar saamne lahra raha hai 
Namazi, zeire khanjar aa raha hai

Shares
Scroll to Top