Jaate Hain Hum Madine Kubra Yeh Boli Ro Kar

Wordings

English

Jaate Hain Hum Madinay. Kubra yeh boliN ro kar
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar
Zindaan se choot kar, ghar jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Baba ka paas karna, Asghar ka dhyaan rakhna
Tere hawale ghar bhar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Shaana zara hila dein Ammu ko ab jaga de
Kah de yeh koi jaakar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Maidan se uth ke aao, soorat zara dikhaoo
Ay Bhaijaan Akbar jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Jhoola isse jhoolana. Lori isse sunana
Chouke jo Shab ko Asghar jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Who chadaroon ka chhinna, who khaima-khaima jalna
Le kar yeh saare manzar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Mahshar bapa tah ban mein, Barchi chali thi rann mein
Hum-Shakl-e-Mustafa par, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Thanda Alam hua hai, Khoon-e-Ali baha hai
Teaghey chali Chacha par, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Zindaan mein soo rahi, khamosh ho gayi hai
Lutwa kar apne gauhar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh BoliN Ro Kar

Mahir* miyan ne sehra Kubra ka tha yeh nauha
Teri zameeN basa kar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Kangna kalai mein tha, badla naseeb kaisa
Randsara ab pahen kar, jaate hain hum madiney
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Jangal tera basa kar, tere zameen pa aa kar
Sabne baba bana ghar, jaate hain hum madiney
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Jalti zameen par haye-haye, Baba tadap rahe thay
Chalta tha kund khanjar, jaate hain hum madiney
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Uttho zara Sakeena, ZindaN mein boli Kubra
AasooN baha baha kar, jaate hain hum madiney
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar

Shares
Scroll to Top