Aye Mere Nana Payanbar – Lut Gayi Zainab

Wordings

English

Jo Madine gaye Zainab, to na sambhla dil e Muztar
To chali ashq baha kar, Yeh kaha qabr e Nabi par
Lut gayi Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gayi Zainab

Na woh Sher aisa Baradar, Na jigar jo Shah e Shappar
Na woh Hamshakl e Payambar, Na woh chhey maah ka Asghar
Lut gayi Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gayi Zainab

Chal gaya seene par naiza, Chida Akbar ka kaleja
Woh qayamat ka sama tha, Mera Bhayyia tha akela
Kaise bataooN

Kabhi laashe ko uthaya, kabhi bachchon ko bulaya
Kabhi Haider ko pukara, thay ajab haal me Sarwar
Lut gayi Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gayi Zainab

Dil ki taaqat yeh magar thi, ki wafa Khoon me tar thi
Dar e khaima par nazar thi

Jab chala teer e sitamgar, Kiya khoon e Ali Asghar,
Mal ke peshani ke oopar, Khule Maidan se Sarwar
Lut gayi Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gayi Zainab

Kabhi badhna soo e khaima, kabhi khaimey se palatna
Kabhi besheer ko takna, Kabhi seenay se lagana
Keh na sakoo gi

Kabhi awaaaz di Asghar, Kabhi ro utthe tadap kar
Kabhi muh rakh diya muh par, Hai mujhe yaad woh manzar
Lut gayi Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gayi Zainab

Asr ke baad ka kissa, Soch kar dil hai dahelta
Qatl jab ho gaya Pyaasa, Pisar e Fatima Zaherra
Ghash mein thay Aabid

Mujhe aada ne sataya, Mere khaimon ko jalaya
Jhoola besheer ka loota, Mere chhiney gayi chadar
Lut gayi Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gayi Zainab

Yeh Bahen dard ki mari, Dar e khaima par khadi thi
Aakh se dekh rahi thi, Halq e Sarwar par churi thi
Hilti thi dharti

Zalzala aaya hua tha, AasmaN kaap raha tha
Har taraf shor bapa tha, Sar e Sarwar tha sina par

Who Dil o Jaan tha Shah ka, Who Sahara tha Hamara
Who akela than o tanha, Sare aada ko bohut tha
Faathe e Dariya

So raha naher pa ja kar, Apne ShanoN ko kata kar
Mashk seene se laga kar, Mera yeh Saakhi e Kausar
Lut gayi Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gayi Zainab

Saqt Mahir* who ghadi thi, Jaisi Zainab pa padi thi
Dar par khamosh khadhi thi, Pyaas Sarwar ko badhi thi
Hashr Bapa tha

Tha kahin Maher e Munnawar, To kahi tha Mah e Anwar
Thay sabhi taare zameen par, Asmaan tha tahe khanjar
Lut gayi Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gayi Zainab

Shaam o Koofa ka fasana, Dil se mushkil hai bhulana
Tha phira ham se zamana, Qaid tha sara gharana
Baal they muh par

Intezaamaat bade thay, Sare bazaar saje thay
Sab tamashayi khade thay, Hum thay ai Nana khule sar
Lut gayi Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gayi Zainab

Na qanateN na woh khaima, Na who Abbas ka pahra
Eik sama shab ka darauna, meri godi mein Sakeena
Lipti hui thi

Jab hui Shaam e Gareeban, Chandni phirti thi hairaaN
Woh khamoshi woh bayabaaN, Thay Haram khaak ke oopar
Lut gayi Zainab, Aye mere Nana Payembar, lut gayi Zainab

Shares
Scroll to Top