Beqaraar Hai Madar Hai Jal Gaya Jhoola
Wordings
English
Beqaraar Hai Madar Haye Jal Gaya Jhoola
Haye Jal Gaya Jhoola, Haye Jal Gaya Jhoola
Uski yaad jab aati dekh kar sukoon paati
Sabr aaye ga kyonkar, Haye Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Haye Jal Gaya Jhoola
Goad ho gayi khaali Qatl ho gaya wali
Kisse mein kahoon jaakar, Haye Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Haye Jal Gaya Jhoola
Khoon banke sadmo se bah raha hai aakhon se
Dil pe chal gayakhanjar, Haye Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Haye Jal Gaya Jhoola
Kis qadar hai sannata kuch nazar nahi aata
Hai dhuan-dhuan manzar, Haye Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Haye Jal Gaya Jhoola
Aa ke dil se aakhon tak kiski raat phaile hai
woh nishani e Asghar, Haye Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Haye Jal Gaya Jhoola
Pahla zakhm yeh khaya Woh na laut kar aaya
Dusra laga nashtar, Haye Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Haye Jal Gaya Jhoola
Kaise din guzarun gi bas yahi pukaroon gi
Khaak ho gaya bistar, Haye Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Haye Jal Gaya Jhoola
Bhoolna hai na-mumkin yaad aaye ga har din
Kaise dil karoon patthar, Haye Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Haye Jal Gaya Jhoola
Ai Suroor* woh muztar Bezubaan ki turbat par
Kah rahi thi ro-ro kar, Haye Jal Gaya Jhoola
Beqaraar Hai Madar Haye Jal Gaya Jhoola
