Zahera Zahera Pursa Lo Bahattar Ka

Wordings

English

Karbal ki kahani jab koi bhi sunaye ga
Dilwalon ki aakhon se ek darya bahaye ga

Woh qafila Sarwar ka jo shaan se nikla tha
Sughra ko khabar kya thi na laut ke aaiye ga
Zaehra Zahera Pursa lo Bahattar Ka

Pamaal hua Qaasim jab ghodon ki taapon se
Kis tarah chacha teiri mayyat ko uthaye ga
Zahera Zahera Qasim ka bhi Pursa lo

Tha haaton ke katne ka kuch gham na Dilawar ko
Saidaniyon ka parda ab kaun bachaye ga
Zahera Zahera Abbas ka bhi Pursa lo

Tooti hai kamar Sheh ki ghabra na magar Akbar
Farzand-e-Nabi teiri mayyat ko uthaye ga
Zahera Zahera Akbar ka bhi Pursa lo

Sote hi na thay Asghar, Jhule meiN tadapte thay
Madar ko khabar kya thi, Eik teer sulaaye ga
Zahera Zahera Asghar ka bhi Pursa lo

Sarwar ne uthaye thay sab saathiyon ke laashe
Shabbir tera lasha ab kaun uthaye ga
Zahera Zahera Shabbir ka Pursa lo

Shares
Scroll to Top