Aa Jao Ke Sughra Yaad Kare

Wordings

English

Furqat mein Sakina ki roye, besheer ka jhoola yaad karey
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Tu sham e mazaar e Zaherra ho tum raunak e gumbaz e khizra ho
Kaise na tumhe mere Baba Nana ka Madina yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Jaldi se palat aao ghar mein Saiyyada utha kar godi mein
Beemar Bahen kab tak Baba Asghar ka humakna yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Khat mera dikha kar kahiyea ga bhaiyya Ali Akbar se itna
Ai yousuf e Aal-e-Paygambar Aa jaao Madina Yaad Karey
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Khat de ke mera Baba ko ehsaan yeh karan ai Qasid
Abbas Chacha se kah dena Ro ro ke Sughra yaad karey
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Ai baad e saba jab Karbo-bala jaana ho to itna kah dena
Pardes jane walon ko Dukhiya aaj Sughra yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Khamoosh hai deewaren sari Weeran pade hain baam-o-dar
Ai shame haram ai shaan-e-Nabi Mabood ka Kaaba yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Woh ruhkasat-e-aakhir ka manzar woh lachak ke jaane ooton ka
Dil mera abhi tak ai Baba Phuppiyon se lipatna yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Allah ko saupa hai tumko Ai Al-e-Mohammad jaao magar
Samjha rahen jab bhi humhko Ro ro ke Sakina yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Jab thandi saaseN bharti hai Dil kahta hai Asghar Asghar
Mahir* ke waare wale ko har saas pe Sughra yaad kare
Aa Jaao Ke Sughra Yaad Kare
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain

Shares
Scroll to Top