Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Wordings

English

Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar
Chamki hai tegh e Haider e Karrar baar baar
Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Bazme Ali se aayen hain qatl e Hussain tak
Hai aaj hota aaya hai inkaar baar baar
Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Jab tak Ali na aa gaye Marhab ke saamne
Haidar se bhagtey rahe do chaar baar baar
Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Abbas ne furhaath ka saahil ulat diya
Ja kar jhukhi nigaah khabardaar baar baar
Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Haider ke bachpane sa koi dhoondo budshikan
Khaiber mein log dar gaye bekaar baar baar
Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Islam ki kitaab se uth to gaya magar
Mere Ali ki aaye gi jhankaar baar baar
Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Majboor kar diya tha nazar ne Hussain ke
Abbas dekhtey rahey talwaar baar baar
Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Aasan nahi banana lahed bezubaan ki
Roti hai dast e Shah mein talwaar baar baar
Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Mahir* nazar se dekhi hai jis din se Karbala
Ji chata hai phir yahi deedar baar baar
Aaye Hain Deen Kay Samnay Kuffar Baar Baar

Shares
Scroll to Top