Dekh Kar Baba Ka Laasha – Eik Beta Ro Diya
Wordings
English
Dekh kar Baba ka Laasha, Eik Beta ro diya
Reh gaya jis dam akela ek beta ro diya
Gham ki zanjeeron mein jakda ek Beta ro diya
Dekh kar Baba ka Laasha, Eik Beta ro diya
Natatvan Bemaar laaghar aur safar ki sakhfiyan
Dekh kar humraah apne sar barehna bibyan
Gham ki zanjeeron mein jakda ek Beta ro diya
Dekh kar Baba ka Laasha, Eik Beta ro diya
Pyaas ki shiddat se chehra zard aur pairon mein khaar
Har qadam par dekh kar taaza musibat ka dayaar
Gham ki zanjeeron mein jakda ek Beta ro diya
Dekh kar Baba ka Laasha, Eik Beta ro diya
Saath meiN Ahle Haram haiN aur sab haiN nange sar
Karbala se shaam tak jayenge kaise soch kar
Gham ki zanjeeron mein jakda ek Beta ro diya
Dekh kar Baba ka Laasha, Eik Beta ro diya
Tauq o langar ki garani se kamar thaame huwe
Utth raha tha har qadam qalb o jigar thaame huwe
Gham ki zanjeeron mein jakda ek Beta ro diya
Dekh kar Baba ka Laasha, Eik Beta ro diya
Jo musibat aayi Abid par padhi Naad e Ali
Karbala se shaam tak jab bhi koi thokar padi
Gham ki zanjeeron mein jakda ek Beta ro diya
Dekh kar Baba ka Laasha, Eik Beta ro diya
Chal rahi thi raah mein seena utha kar mushkilein
Jab safar mein pesh aayiN har qadam par mushkilein
Gham ki zanjeeron mein jakda ek Beta ro diya
Dekh kar Baba ka Laasha, Eik Beta ro diya
Jab sitam ne apna andaaz e sitam badla nahiN
Raaste bhar bekasi ne saath jab chhoda nahiN
Gham ki zanjeeron mein jakda ek Beta ro diya
Dekh kar Baba ka Laasha, Eik Beta ro diya
Shaam ke zindaN meiN jis dam Sakina mar gayi
Aur apne Bhai ko ek dam akela kar gayi
Gham ki zanjeeron mein jakda ek Beta ro diya
Dekh kar Baba ka Laasha, Eik Beta ro diya
Kar raha hooN mai bayaN Bemaar ka huzn o malaal
Aa rahe hai zehen meiN Ishrat* masyab ke khayaal