Fatima Zaherra Ke Jaye Hain Hussain
Wordings
English
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
Toonekya kya dukh uthaye hain Hissain, Ya Hussain
Jab zubaN pa naam tera aa gaya
Askh aakhom mein bhar aaye, aye Hussain Ya Hussain
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
Naam tera le kar har dam rooyenge
Apne toh apne paraye aye Hussain, Ya Hussain
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
Dopaher se asr ke hangham tak
Laashe par laashe uthaye aye Hussain, Ya Hussain
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
De do ab Qasim ko marne ki raza
Ro raheN hain sar jhukaye aye Hussain, Ya Hussain
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
Chod kar saidanyoN ko aqaraba
So raheN haiN sar kataye aye Hussain, Ya Hussain
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
Maine atthara baras paala jisse
Aaye woh khooN me nahaye aye Hussain, Ya Hussain
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
Hu ba hu hai jo Habib e Kibriya
Rann mein woh marne ko jaye aye Hussain, Ya Hussain
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
Zalimon ne qaid Aabid ko kiya
Kaun ab laashe uthaye aye Hussain, Ya Hussain
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
Sar barhaina ho koi aisa nahin
La ke eik chadar udhaye aye Hussain, Ya Hussain
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
Aap ki furkat mein Asghar* har ghadi
Karta hai haya Hussaina aye Hussain
Fatima Zaherra ke Jaye hain Husain
Toonekya kya dukh uthaye hain Hissain, Ya Hussain
