Gahar Chalo Shaam Hoti Hai Asghar

Wordings

English

Qabre Asghar pe kehti thin madar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Aao jhoola tumhe main juhlaoo
Lori de kar, thaphak ke sulaoon
Neend aaiye gi jungal me kyokar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Kya khafa ho gaye mujh se beta
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar
Qabre Asghar pe kehti thin madar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Soona jangal hai aur hooka ban hai
yah musafir ko ranj o nahen hai
kyo lagaya hai khaak par bistar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Raat kaali hai, hoo ka yeh ban hai
Paas Bhai na koi Bahen hai
Kyo lagaya hai khaak par bistar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Hooka jangal hai aur raat kaali
Aaj hoye ga maidaan khali
Kooch karne ko hai sara lashkar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Neli dori hai nazuk kalai
Chhe mahinee ki meri kamaai
Bhoore baalon pe sadqe ho maadar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Ro ro kahtin thin Bali Sakeena
Bhaya paani akele na peena
Hum bhi pyase bohut hain Baradar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Kat gaya sar Imaam e Zaman ka
Ho gaya khatama panjetan ka
Ab to waris nahin koi sar par
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Lene aaiye ho tumko ai beta
tukde hota hai mera kaleja
Teer maare na koi sitamgar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Basti jangal me tumne basai
yeh jaghan tumko kyo raas aiye
Sooni goodi hai maan ki ai dilbar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Bha gaye teri soorat zameen ko
le liya mujhse tujh nazneen ko
yeh na soocha ke roye gi maadar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Qabre Asghar pe kehti thin madar
Gahar chalo shaam hoti hai Asghar

Shares
Scroll to Top