Ghabraye Gi Zainab.
Wordings
English
Ghabraaegi Zainab dukh payegi Zainab
Bhaiyya tumhe ghar jaake kahan payegi Zainab
Kaisa yeh bhara ghar huva barbaad ilaahi,
kya aayi tabaahi
Ab isko na aabaad kabhi payegi Zainab
Ghabraaegi Zainab …
Ghar jaa ke kise dekhe gi, Qasim hain na Abbas
Akbar se bhi hai yaas
Apne Ali Asghar ko kahan paye gi Zainab
Ghabraaegi Zainab …
Poochenge joh sab loug ke baazu pe huva kya,
yeh neel hae kaisa
Kis kis ko nishan rassi ke dikhlaegi Zainab
Ghabraaegi Zainab …
Phat jayega bas dekhte hi ghar ko kaleja,
yaad aaoge bhaiyya
Dil dhoondhega tumko to kahaan payegi Zainab
Ghabraaegi Zainab …
Beparda hui qaid bhi khawar ne uthaye
aur maut na aaiye
Kha jaaniyea kya-kya abhi dukh payeegi Zainab
Ghabraaegi Zainab …
Bin bachon ke kehlaayi toh kehlaayi mein laikin,
yeh kaise ho mumkin
Bin bhai ke kehlaayi toh marjayegi Zainab
Ghabraaegi Zainab dukh payegi Zainab
Dilgeer Sahib’s grave (Known as Tedhi Qabar) in Lucknow https://maps.app.goo.gl/2A9Di87JiRRJJ5aVA
