Haaey Mera Abbas Nahi Hai

Wordings

English

Ran mein ye kehte thay roke Sarwar
Haye mera Abbas nahi hai
kaise uthaun laashaye akbar
Haye mera Abbas nahi hai

Seene se barchi kaise nikaloo
Peeri may kaise dil ko sambhaloo
Khoon may tadapta hai mera Dilbar
Haye mera Abbas nahi hai
Ran mein ye kehte thay roke Sarwar

Ran may thay Zainab ke ye naale
Koi mere Bhai ko bachale
shimr chalata hai kund khanjar
Haye mera Abbas nahi hai
Ran mein ye kehte thay roke Sarwar

Khate na Asghar ter sitam ka
Hota nigebhan Ahl e Haram ka
Ata bhala khaime meiN yeh lashkar
Haye mera Abbas nahi hai
Ran mein ye kehte thay roke Sarwar

Ran may na hota pamaal Sehra
Bewa na hoti mazloom kubra
Tukde Hassan ka hota na Dilbar
Haye mera Abbas nahi hai
Ran mein ye kehte thay roke Sarwar

Chehre ko balon se hai chupayi
Kehti thi Zainab sar ko jhukayi
Sar se mere chinti na ye chadar
Haye mera Abbas nahi hai
Ran mein ye kehte thay roke Sarwar

Majilis o Maatam ghar mein bapa kar
AakhoN mein aaso bhar ke dua kar
Nauha suna Zainab ko yeh Mahshar*
Haye mera Abbas nahi hai
Ran mein ye kehte thay roke Sarwar

Shares
Scroll to Top