Haram Sara E Hussaini Kay Pasban Abbas

Wordings

English

Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas

Wafa ka laakh Khusoos-e-amal kiya Abbas
Shabih-e-Fatah-e-Khaibar rahi nishan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas

Woh shamma jisko  yazidi bujha nahin sakte
Jala gaey hain sare raah-e-imtehan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas

Nazar to jaati hai insaan pahonch nahi sakta
Fareed e azm o amal ke hain aasman Abbas
Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas

Ali ka azm hai jalwa ba Fazle Husain
Hai intihiy-e-tabbussum ke darmian Abbas
Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas

Yeh haath hote hifazat hayaat hote agar
Jahan jahan hain Shah-e-Deen wahan wahan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas

Khuda ki raah mein tu ne kata ke haaton ko
Ajal ki toad ke rakh di kalaaiyan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas

Idhar ghash aa gaya shayed Sakina Bibi ko
Pukarte hain tumhe Shah-e-Imtihiyan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas

Huzoor-e-tashnalabi ka agar bahadar tha
Udhar Furat se uthne laga dhuwan Abbas 
Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas

Aseer ho ke sab Ahl-e-Haram shaheedon se
Suni to ho gi Sakina ki imtihiya Abbas
Haram Sara-e-Hussaini ke Pasbaan Abbas

Shares
Scroll to Top