Jab Subha Berida E Zainab Bayan Hui

Poet Unknown
Anjuman NIL

Wordings

English

Jab subha Berida e Zainab bayan hui.
Aur akhri sipah e Khuda mein Azaan hui

Paida yeh ahlebait ke lab par fugha hui
Bus ab bahar e Gulshan e Zahera khiza hui

KapeN ga arsh Fatima ke shor o shain se
Jis dam bida howi gi Zainab Hussain se

Aati thi gaah khaimen ke dar par woh beqaraar
Aur ro ke Zuljana se kahtiN thin baar baar

Tere nisaar aut tere raqib ke bhi nisaar
Ahsaan tera howi ga Zainab pe beshumaar

Barbaad keejiyo na Ali ki kamaai ko
Maqtal mein le na jaayeo Zainabke Bhai ko
Jab subha Berida e Zainab bayan hui.

Notes:

Some of the Nauhas recited by Mohtarma Sabira Kazmi were written by her

Shares
Scroll to Top