Kaisa Manzar Baad E Qatl E Hazrat E Shabier Hai
Wordings
English
Zulm ki tarikiyoN meiN Waris-e-Tathier hai
Aabid-e-Beemar hai aur lashkar e bepeer hai
Berida SaidaniyoN ki fikr damangeer hai
Tauq hai maatam kuna, giryakuna zanjeer hai
Kaisa manzar baad e qatl e Hazrat e Shabbier hai
Bibiyan sahmi hui baithe haniN bacchon ko liye
Ranj o gham dil meiN chupaie aur ashkoN ko piye
Hichkiyan sunn le na zalim, sab haiN hotoN ko sieye
Roien to durre lagata, lashkar e bepeer hai
Ashqiya Shabbir ke khaimeN jalane aa gaye
BibiyoN ko eik naye gham meiN rulane aa gaye
Chhotey chhotey BacchoN ko zalim satane aa gaye
Ranj o gham meiN mubtila phir Shah ki Hamsheer hai
Dil ko thame rann meiN baithe hai Rabab e Ghamzada
Khoon ke aasooN baha ke ro rahi hai Maamta
Haye kya socha tha Maa ne aur Maa ko kya mila
Dekhiyea bhaaloN ki zad par Lashai Besheer hai
Aabid e Beemaar se boliien Sakina, Bhaijaan
Dard paida kar raheN haiN yeh tamachoN ke nishaan
Iss hamari bebasi par ro raha hai aasmaan
Haye yeh Karbobala aik hashr ki tasweer hai
Bagh e Zahera ki baharoN par lagi kis ki nazar
Patta patta buta buta aa gaya hai khaak par
Jo kabhi sarsabz thay sukhe huey haiN woh shajar
Gulshan e Mustafa ki kya yahi tauquir hai
PattharoN ke shaher mein kaatoN bhara hai raasta
Aabid e Beemar hai aur zalimon se waasta
Khair ho Shham e Imamat bujn na jaye aye Khuda
Kis qadar beemar hai aur paaon meiN zanjeer hai
Kis qadar dushwaar thay Aale Nabi par rahguzar
Tha bina mehmal ke ooteN ka yeh tulaani safar
Maut aa jaati thi usko gir gaya koi agar
Har musibat Aal e paighambar ki daman geer hai
Haal par SaidaniyoN ke Arsh wale ro dieye
Raat bhi roti rahi, din ke ujale ro dieye
Sayyad-e-Sajjad ke pairon ke chhale ro dieye
Shaam ki tarikiyoN meiN Haidary tanveer hai
Badh rahien thiN dam ba dam shimr e laien ki sakhtiyaN
Berida balwe meiN thiN Kaunain ki Shazadiyan
Chal rahi thiN har taraf zulm o sitam ki aandhiyan
Kashmakash dil meiN liye phir Warise Shabbir hai
Taziyano ki saza se khoon tha rista hua
Pairahan har aik tha pusht se chipka hua
KarwaN chalta hua zulm o sitam saheta hua
Rukh par har qaidi ke gham ki dastaan tahreer hai
Zulm ki dahshat sa apno ka tadpana dekhkar
Dekh kar bachhoN ko maaoN ka pharhkna dekh kar
chand se cheroN se khoon ka woh tapakna dekh kar
Abid e muztar ke dil meiN chhub raha eik teer hai
Qafila darbar se kuch door par roka gaya
Be ijazat BibiyoN se phir nahi baitha gaya
Eik munadi Qaidiyon se bus yahi kahta gaya
Saj raha hai Qasre haakim bus zara taakhier hai
HaNs raheN sab tamashaie gharoN se jhaak kar
Koi chhere par sitam dhata hai koi pusht par
Khatm hai Saidaniyon par zulm ke saare hunar
Hai kahin khanjar saroN par aur kahin shamsheer hai
Eik tamashai ne puchha shimr se sach sach bata
Aise noorani sifat chehre bhi qaidi hain bhala
Mujhko to eik eik qaidi lag rah hai par sa
In ke chehre par to raushan rahmati tanveer hai
Kaisa manzar baad e qatl e Hazrat e Shabbier hai
Shimr ne sun kar tamashae ki baaten yeh kaha
Kaam kar apna nahin tu jaanta hai kuchh majra
Hain hukumat ke yeh baaghi iss liye pai saza
Qaidkhana hi faqat in sab ki ab taqdeer hai
Shak hua usko suna jab shimr ka yeh bayan
Khidmat e Zainab me aaye aur poocha meherbaan
Kaun ho tum log bibi aur kya hai khaandan
kyuN saroN par Tumhare zulm ki shamsheer hai
BolieN Zainab kya bataye Hum tumhe apna nasab
Mustafa Nana thay Mere, Bhai tha Sher e Arab
Fatahe Khaiber ki Beti hooN ke hai Zainab laqab
Aur sunn vabasta humse chadar e tatheer hai
Tujh ko maloom hai kya kya sitam dhaaye gaye
Hum Madine se yahaN dhoke se bulwa gaye
Qaid kar ke Karbala se shaam phir laye gaye
Ummati aasi ke haatoN lutt chuki jageer hai
Sunn ke Zainab ki fughaN uss shaks ko sakta hua
Gir pada qadmoN par shahzadi ke aur kahne laga
MaiN bhi shaamil tha innhi meiN, HuN main mujrim Aap ka
HooN maaf apni khataen, kya koi tadbier hai
Aai fauj e ashkiya se eik munadi ki sada
Saamna karna hai sabko ab amir e shaam ka
Gar kiya inkaar paye ga woh kodoN ki saza
Jaan lo meri saza mein maut ki taseer hai
Sayyad e Sajjad se BoleiN yeh Zainab, Meri Jaan
Humko dena hai abhi kuch aur Beta imtehan
Aur sahna haiN yazeed o shimr ki ghustakiyan
Zulm ke evaan meiN yeh eik nayi tamier hai
Nange sar Ahle Haram ke waaste yeh intezaam
Haye ghairoN se bhara hai har taraf darbaar e shaam
Tauq aur zanjeer meiN jakda Imaan Ibne Imaam
Khuwabe Ibrahiem teri kya yehi taabier hai
Saamne baitha hua tha takht par ibne palied
Bola haakim hoon yahan ka naam hai mera yazeed
Phir mukhatib ho poocha sab se yeh usne mazied
Yeh batao kaun tum meiN Shah ki Hamsheer hai
Sunn ke Fizza taish meiN bolieN ke sunn ai beadab
Maine mana zulm se iss waqt haiN sab jaaN balab
Sar khule darbaar mein hain Hastiyan Fakhre Arab
Kabza e qudrat meiN inhi ki Khuld ki jageer hai
Ghaiz meiN Zainab ne phir ibne shaqi se yeh kaha
Tujh ko sab maloom hai masoom haiN Hum bekhata
Kahuf kar karna hai tujhko bhi Khuda ka saamna
Aatis e dozakh meiN jalna hi teri taqdeer hai
Itne mein Bibi Sakina par padi uski nazar
Bola dekho chathe haiN aap ko kitna Padar
Baaap ko awaaz deiN aur goad meiN aa jaye Sar
Gar nahiN aisa hua to qaid ki zanjeer hai
Sunn ke Dukhiya ne kaha, Baba karam farmayea
Ghamzada Beti ki halat par taras kuch khaiye
De rahi hooN waasta godi meiN Meri aaiye
Aap ki Beti ke bachne ke yahi tadbier hai
Aa gaya Beti ke hatoN par Sare Shah e Umam
Dekh kar haaton pe Sar ko barh gaya kuch aur gham
Kah rahi thi hichkiyan le le Beti dam ba dam
Mujhko Baba maut aane ki faqat taakheir hai
Beti se ho kar mukhatib Shah ne phir yeh kaha
Saath apne jo hua sab hai yeh Maalik ki reza
Poch kar aasooN karo bas shukr ka sajda ada
Haq pasand insaan ki Beti yehi taqdeer hai
Zindagi apni nichawar hai gham e Shabbir par
Hum gala rakh denge haNskar zulm ki shamskeer par
Faqr karte hain Raza* hum is liye taqdeer par
Har musibat meiN yeh gham apne liye akseer hai
Kaisa manzar baad e qatl e Hazrat e Shabbier hai
