Khuda Ki Raah Mein Kaar E Numaya Aise Hoten Hain

Wordings

English

Khuda ki raah meiN Kaar e Numaya aise hoteN haiN
Tahe khanjar kiye sajde, MusalmaN aise hoteN haiN

Who pyaari pyaari shakleN dekh kar aale Payambar ki
Sitaron ne kaha, ai chaand, Insaan aise hoteN haiN

Musafir ka Tan e BeSar hai, aur shab ka andhera hai
Kisi ki laash par gesu pareshan aise hoteN haiN

Qadam pe Shah ka dam nikla, Habib Ibn e Mazahir ka
Mohabbat ke, wafa ke ahd o paimaN aise hoteN haiN

Khuda hi jaane dil se kya kaha ho ga nigahoN ne
Sakeena ko khabar kya thi ke zindaN aise hoteN haiN

Suna kar Najm* qissa, Karbala waloN ShaheedoN ka
MusalmanoN ko samjha do Musalman aise hote hain.

Shares
Scroll to Top