Kyon Chod Ke Jate Ho Hume Bhai Madina
Wordings
English
Kyon Chod Ke Jate Ho Hume Bhai Madina
Batlao rahe kaise andhere mein Sakina
Tum jate ho, Amma bhi, Phupi bhi chaliN yahan se
Tum jaante ho, dartiN hoon weeran makan se
Taqdeer ne mujhse mare kunbe ko hai cheena
Batlao rahe kaise andhere mein Sakina
Kyon Chod Ke Jate Ho Hume Bhai Madina
Maloom na tha ab kabhi ghar jaa na sakoongi
Darti thiN andhere se, andhere mein rahoongi
Marne se bhi battar hua, zindaan mein jeena
Batlao rahe kaise andhere mein Sakina
Kyon Chod Ke Jate Ho Hume Bhai Madina
Eik roz to azaad hua karte hain qaidi
Kismat meiN Khuda jaane mere qaid hai kaisi
Is qaid se paoongi, rehai mai kabhi na
Batlao rahe kaise andhere mein Sakina
Kyon Chod Ke Jate Ho Hume Bhai Madina
Jis roz se niklin hoon, mere Bhai maiN ghar se
Kuch dard mila daagh, Sakina ko safar se
Us din se muqadar mein, raha ashk hi peena
Batlao rahe kaise andhere mein Sakina
Kyon Chod Ke Jate Ho Hume Bhai Madina
Main kahti thin mil jaye rehayi kisi soorat
Ghar jaa ke maiN Dadi se karoongi yeh shikayat
Dadi mere Baba ko, musalmanoN ne cheena
Batlao rahe kaise andhere mein Sakina
Kyon Chod Ke Jate Ho Hume Bhai Madina
Achcha chalo ghar jaao toh Sughra se yeh kahna
Aabaad raho, shaad raho, ai meri bahena
Ab khwaab mein aayegi, tumhe milne Sakina
Batlao rahe kaise andhere mein Sakina
Kyon Chod Ke Jate Ho Hume Bhai Madina
Haaye dare zindan par larazte rahen Aabid
Rehan* bohut der tadapte rahe Aabid
Jab kafila Zindan se, chala soo e Madina
Batlao rahe kaise andhere mein Sakina
Kyon Chod Ke Jate Ho Hume Bhai Madina
