Pukari Laash Pe Zahera – Mere Hussain Hussain

Wordings

English

Pukari Laash pe Zehrra, mere Hussain Hussain,
Kafan bhi tune nahi paya mere Hussain Hussain.

Mere ghareeb mere faaqa kasht mere pyaase
Mere shaheede tamanna mere Hussain Hussain.

May aayi hu tujhe rone ko khuld se beta
Mujhe do uthke dilaasa, Mere Hussain Hussain

Basi hai Shaam ki basti, Madina viraan hai
Mazaar hai mera sonaa, mere Hussain Hussain

Ise liye Tujhe paala tha Fatima ne kya
Pada hai Dhoop mein Laasham Mere Hussain Hussain

Nishan gale par, gareban ka shaak tha mujhko
Gala who tegh se kata, Mere Hussain Hussain

Butool ne Tumhe paala tha pees kar chhaki
Falak ne kyon tumhe peesa, Mere Hussain Hussain

Pukari Laash pe Zehrra, mere Hussain Hussain,
Kafan bhi tune nahi paya mere Hussain Hussain.

Shares
Scroll to Top