Sakina Kahtin Thin Woh Gham Guzar Gaye Baba

Wordings

English

Sakina kahtiN thiN woh gham guzar gaye Baba
Jo Hamko zinda hi dargor kar gaye baba
Sakina kahtiN thiN …

Har eik qadam pa nayi Karbala mile humko
Aseeri, zulm o tashadood jidhar gaye Baba
Sakina kahtiN thiN …

Jo berida kabhi nikle na ghar ke aaNgan mein
Dayaar e shaam meiN who nange sar gaye Baba
Sakina kahtiN thiN woh gham guzar gaye Baba

Aseer ho ke chale ham to apne baaloN se
Chupaye chehra, jhukaye nazar gaye Baba
Sakina kahtiN thiN woh gham guzar gaye Baba

Dikhaye shimr e sitamgar ne aise bedardi
NishaN tamachoN ke rukh par ubhar gaye Baba
Sakina kahtiN thiN woh gham guzar gaye Baba

Dikha ke Humko jo paani bahaya aada ne
Khile hue thay jo chehre utar gaye Baba
Sakina kahtiN thiN woh gham guzar gaye Baba

Hamare haal pa haste thay dushmanane Khuda
Jahan bhi khaak basar nauhaghar gaye Baba
Sakina kahtiN thiN woh gham guzar gaye Baba

Tumhare baad jab itne sitam thay qismat meiN
Tumhare saath hi ham kyoN na mar gaye Baba
Sakina kahtiN thiN woh gham guzar gaye Baba

Mujhe bas aap ke seene par neend aati thi
Main kya karoongi jo ham chhut ke ghar gaye Baba
Sakina kahtiN thiN woh gham guzar gaye Baba

Sakeena khaab se chauktiN to kahtiN Shaoor*
Abhi Abhi to yahin thay kidhar gaye Baba
Sakina kahtiN thiN woh gham guzar gaye Baba

Shares
Scroll to Top