Sar Ali Ka Sajde E Khaliq Mein Zarbat Ke Liye

Wordings

English

sar Ali ka sajda e KhaAliq may zarbat ke liye
hashr tak ek daaghe ruswayi hai ummat ke liye

ghar lutaaya jaan tak dedi hidayat ke liye
aur kya karte gunehgaran e ummat ke liye
sar Ali ka sajda e KhaAliq may zarbat ke liye

Hydere Karaar se virsa mila aulaad ko
hogayi qismat shahadat har Imamat ke liye
sar Ali ka sajda e KhaAliq may zarbat ke liye

ghar may khaAliq ke Ameer ul Momineen ka qatl ho
masjid e Kufa bani thi is qayamat ke liye
sar Ali ka sajda e KhaAliq may zarbat ke liye

Notes:

Some of the Nauhas recited by Sachche Bhai were written by him

Shares
Scroll to Top