Shahadatâ Hazrat Imam Ali Raza as
Wordings
English
masmoom huEy lakhte dil’e Saaqiye Kausar, wa hasrato darda
Moosiye Raza, mominoN ke aathweiN rahbar, wa hasrato darda
Ma’amoon ne pahle to Madine se bulaaya, naana se chuRaya
phir zahr diya apna wali_ahed banaakar, wa hasrato darda
likkha hai ke ek roaz qareeb apne bulaakar, izzat se bithakar
angoor ba-israar diye zahr milaakar, wa hasrato darda
go ilm tha, par marziye haq se rahe majboor, aur kha liye angoor
khaate hi jise Shaah ki haalat hui abtar, wa hasrato darda
phaila asar, uRne laga rAnge rukhe purnoor, aur rakh diye angoor
phir aabe anaar aah diya zahr milaakar, wa hasrato darda
uth kar chale fauran hi to maamoon ne poocha, hai qasd kahaaN ka
farmaaya wahaaN jaata hooN, bheija hai jahaaN par, wa hasrato darda
yeh kahte hi waapas huEy baitush’sharaf aaqa, afsoas ki hai jaa
duniya se usi shab ko sidhaare suEy Kausar, wa hasrato darda
te’eisweeN zeeqaad, jumeraat ke din aah, mahshar hua barpa
san do sad o sah hijri mein maatam hua ghar ghar, wa hasrato darda
gO deiRh baras Basr’e meiN aey Fikr* rahe hUm, lekin yeh raha ghUm
Mashad ki ziyaarat na hui phir bhi mayassar, wa hasrato darda
