Taskira Rehta Hai Zainab Ka Giraftaron Mein
Wordings
English
Taskira Rehta hai Zainab ka giraftaron mein
Zikr Sughra ka hua karta hai beemaaroN mein
Taskira Rehta hai Zainab ka giraftaron mein
Zulm o aada ke chupaye se chupen kyunkar
Khoon Saadaat ka jab sarf ho deewaaron mein
Taskira Rehta hai Zainab ka giraftaron mein
Kya tabarook tha who malboose tan e Aabid e zaar
Tukde ho kar jo takseem hua khaaroN mein
Taskira Rehta hai Zainab ka giraftaron mein
Kahey thay Aun o Muhammad, jo ijazat deiN Hussain
Jaa paden hum abhi chalti hui talwaroN mein
Taskira Rehta hai Zainab ka giraftaron mein
Go ke Hur pahle mukhalif tha Imaam e Deen se
Naam likkha tha magar uska wafadaaron mein
Taskira Rehta hai Zainab ka giraftaron mein
Aqd Qasim ka who aagaz tha aur yeh anjaam
Shab ko phoolon mein rahe, subha ko talwaroon mein
Taskira Rehta hai Zainab ka giraftaron mein
Dukthar e Shah ko zindaan mein qaza laaye thi
Eik qayamat hai bapa shab se giraftaron mein
Taskira Rehta hai Zainab ka giraftaron mein
Some of the Nauhas recited by Mohtarma Sabira Kazmi were written by her
