Yeh Zulm O Sitam Tera Aey Charkhe Kohan Kabtak

Wordings

English

Yeh zulm o sitam tera aey charkhe kohan kabtak,
Jakri rahe bazu meiN Zainab ke rasan kabtak

Maa laashaye Qasim par kehti thi yeh ro ro kar,
Sar nange phire Beta balwe maiN Dulhan kabtak

Kehti thi Sakeena yeh batlao Phuphi Amma
Zindan se riha ho-kar jayeNgai watan kabtak

Zainab ne kaha Bibi apna nhi kuch qaabu
DekheN abhi phirna hai awara watan kabtak

Muh dekh ke Asghar ka farmaya Shahedeen ne
Pani ke liye tarse yeh tashna dahan kabtak

Zainab ne kaha haye-haye mai be sar-o-saman hu’n
Laasha rahe Sarwar ka be ghusl-o-kafan kabtak

Sughra yahi kehti thi yaad e Ali Asghar meiN
Ab dekhye milti hai Bhai se Behen kabtak

Sughra ne likha khat mai Akbar ko yeh ro ro kar
Beemar ke lene ko aaoge watan kabtak

Shares
Scroll to Top