Zainab Aai Zainab

Wordings

English

Tadapkar yaas o hasrat ne pukara Zainab aai Zainab
Tera maajaya marne ko sidhara Zainab aai Zainab

Ali Akbar ne bahaye daal ke ghode ki gardan mein
Shaqi ne zor se naiza jo mara Zainab aai Zainab

Ali Akbar ne hichke le ke dam toda to Shah bole
Basarat le gaya aakhon ka tara Zainab aai Zainab

Usi ne chand se seene pe zaalim ki seena khayi
Jo tha laila ke jeena ka sahara Zainab aai Zainab.

Wafa-e-hazarat-e Abbas yeh boli na ghabrao
Abhi hai sher sa bhaai tumhara Zainab aai Zainab

Raza payi na jab Abbas ne ladne ki Maula se
Tadap kar rah gaya darya ka dhara Zainab aai Zainab

Shujhaat Hazarat-e-Abbas ki ghut ghut ke yreh boli
Bahut majboor hai bhai tumhara Zainab aai Zainab

Tumhare Sher ne jis dum tarayi par kiya kabza
Gira kadmo pe dariya kaa kinara Zainab aai Zainab.

Hua kohram sab ahle haram sar peet kar roye
Dam-e-rukhsat jo Sarwar ne pukara Zainab aai Zainab

Baraye bad-dua Zainab ne jab soo-e-falak dekha
Gulu-e-Shah ne hasrat se pukara Zainab aai Zainab

Bahen ghabraye jab Nasir* Sukoot-e-Sha ne farmaya
Nahin ab koi bhi Nasir* hamara Zainab aai Zainab

Tadapkar yaas o hasrat ne pukara Zainab aai Zainab
Tera maajaya marne ko sidhara Zainab aai Zainab

Shares
Scroll to Top