Zidd Yeh Sakina Ko Thi Apne Alamdar Se

Wordings

English

Zidd Yeh Sakina ko thi apne Alamdar se
Paani manga deejiye lashkar e kuffar se
AasooN ko poch kar goad mein bithla liya
Laata huN paani abhi kahne lage pyaar se
Zidd Yeh Sakina ko thi apne Alamdar se

Khush sa mashkiza eik leke chale naher par
Mil gayi unko raza jab Shah e Abraar se
Paani ke badle magar wahan se khabar aayi hai
Girta hai Shah ka alam Dast e Alamdaar se
Zidd Yeh Sakina ko thi apne Alamdar se

Jab se Sakeena ne haye, yeh khabar e bad suni
Bain who karne lagi apne dil o zaar se
Jabse gayeN haiN Chacha phir na khabar li meri
Kaun bachaye ga ab zulm e sitamgaar se
Zidd Yeh Sakina ko thi apne Alamdar se

Kaano ke bunde liye shimr e bad-anjaam ne
Ho gaye Asghar shaheed teer e qamadaar se
Aap ke baad hi Chacha, Asghar o Akbar gaye
Koi na baqi raha zulm e sitamgaar se
Zidd Yeh Sakina ko thi apne Alamdar se

Likh ke Sakeena ke bain phir na mila dil ko chain
Badr* ne nauha likha aasooN ki dhaar se
Zidd Yeh Sakina ko thi apne Alamdar se
Paani manga deejiye lashkar e kuffar se

Shares
Scroll to Top