Zuban Par Madha Hai Baagh E Ali Ke Naunehalon Ki

Wordings

English

ZubaN par madha Hai Baagh e Ali ke naunehalon ki
Gulistan se hai rangiin majlisein nazuk khayalon ki

Ma’az Allah roab e dilbaraan e Hazrat e Zainab
Ali ka roab, Chitwan Sher ki, aankhein ghazaalon ki

Kamar kas kar Ali Akbar ne jab sar par rakha Shamla
Balaaein le lein jhuk kar Maan ne ghungar waale baalon ki

Behamdillah, Abid kahte they, jab poochtiiN Zainab
Phoopi qurbaan, ab kya shakl hai talwoN ke chaalon ki

Gire jab Shah ghode se, nida haatif ki yeh aai
Jagha jhaadi hui hai, Fatima Zahera ke baalon ki

Anees* ab to Hilaal o Badr ko yaksaN samajhte hain
Rahi hai munsifoN meiN qadr yeh sahab Kamaalon ki.

Mitti jo qaid-khane ki raas aa gayi use

Shares
Scroll to Top