Utthe Kaise – Baali Sakeena Ka Laasha

Wordings

English

Utthe kaise, Utthe kaise, Baali Sakeena ka laasha
PareshaaN haiN zindaaN meiN Saaniyea Zaherra

Musibat ki manzil yek kitni kadhi hai
Yateema ki Mayyat zameeN par padi hai
Utthe kaise, Utthe kaise, Baali Sakeena ka laasha

Bane Qabr kyunkar, utthe kaise Laasha
PareshaaN haiN zindaaN meiN Saaniyea Zaherra
Utthe kaise, Utthe kaise, Baali Sakeena ka laasha

Yeh gurbat, yeh tanahai, yeh qaidkhana
Hai zanjeer meiN jakda Beemar Bhaiyya
Utthaye Bahen ka woh kaise Janaza
PareshaaN haiN zindaaN meiN Saaniyea Zaherra
Utthe kaise, Utthe kaise, Baali Sakeena ka laasha

Sakeena Thuje ab kahan paaoN Beti
Akeli kahan chhod kar jaoon Beti
Bohut tang o tareek hai qaidkhana
PareshaaN haiN zindaaN meiN Saaniyea Zaherra
Utthe kaise, Utthe kaise, Baali Sakeena ka laasha

Kahan se kafan laake pehnae Zainab
Bhatiji ko kis tarah dafnaaey Zainab
Qayamat hai ek qaid khane mein barpa
PareshaaN haiN zindaaN meiN Saaniyea Zaherra
Utthe kaise, Utthe kaise, Baali Sakeena ka laasha

Maddad karne aa jao Mere Baradar
KahaN so gaye Mere Abbas jaa kar
Zara aa ke de do Janaaze ko kandha
PareshaaN haiN zindaaN meiN Saaniyea Zaherra
Utthe kaise, Utthe kaise, Baali Sakeena ka laasha

Hai Beemaar haatoN meiN hatkadiyaN pahne
Gale mein haiN taqu e Girahbaar Uske
Utare lahed meiN bhala kaun laasha
PareshaaN haiN zindaaN meiN Saaniyea Zaherra
Utthe kaise, Utthe kaise, Baali Sakeena ka laasha

Shares
Scroll to Top