Tha Qismat Mein Likha Hua Quaidkhana
Wordings
English
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
Sakeena ka ghar ban gaya Quaidjkhana
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
Thi chhahat watan ki, mila qaidkhana
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
Yeh jumle Sakeena ke hootoN par aaye
Bohut waqt ne ham par khanjar chalaye
Thi chhahat watan ki, mila qaidkhana
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
Phupi aur meri Maa rida chah rahi haiN
Yeh baateN hame aur tadpa rahiN haiN
Thi chhahat watan ki, mila qaidkhana
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
Asar yeh dikhaya hai tashnalabi ne
Akela mujhe kar diya bekasi ne
Thi chhahat watan ki, mila qaidkhana
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
NahiN koi shikwa shikayat kise se
KarooNgi na paani ki minnat kise se
Thi chhahat watan ki, mila qaidkhana
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
Yeh ehsaas tha jab se qaidi bani thiN
Aseeri muqqadar meiN likkhi hui thi
Thi chhahat watan ki, mila qaidkhana
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
Hame kar ke zindaan e gham ke hawale
Madine chale jayenge chhane wale
Thi chhahat watan ki, mila qaidkhana
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
Hame raat din meiN ab andhere daseN ge
Hame shaam wale yeh taaneN kaseN ge
Thi chhahat watan ki, mila qaidkhana
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
Larazti hai ab tak Sakeena ki Turbat
Kitab e masaiab meiN likkha hai Ishrat
Thi chhahat watan ki, mila qaidkhana
Tha qismat meiN likha hua qaidkhana
