Sakeena Kahti Thin Asghar Chalo Yahan Se Chalen.

Wordings

English

Chalo yahan se chaleN, Sakeena kahtiN thiN Asghar
SukooN nahi hai yahaN par, Chalo yahan se chaleN
Sakeena kahtiN thiN Asghar, Chalo yahan se chaleN

YahaN hai zulm o sitam ke paikar, Chalo yahan se chaleN
Sakeena kahtiN thiN Asghar, Chalo yahan se chaleN

Khayaal mujhko tumhara bohut satata hai
Bahen ko apni ko jaa ke bhool jaata hai
KahaN ho nannhe Baradaar, Chalo yahan se chaleN
Sakeena kahtiN thiN Asghar, Chalo yahan se chaleN

Chacha ka naam jo meri zabaan par aata hai
koi hudakta hai, durrey koi lagata hai
Yahan to rona hai dubhar, Chalo yahan se chaleN
Sakeena kahtiN thiN Asghar, Chalo yahan se chaleN

Yeh woh jagha hai Jahan main Yateem kahlayi
Yeh jagha hai Jahan Mujhse cgut gaye Bhai
Chacha na aaye palat kar, Chalo yahan se chaleN
Sakeena kahtiN thiN Asghar, Chalo yahan se chaleN

Tumhara khooN bhara kurta utaar dooN aao
Tumhare gasoo e purnam sawar dooN aao
Tumhe gale se laga kar, Chalo yahan se chaleN
Sakeena kahtiN thiN Asghar, Chalo yahan se chaleN

Yahan ke log akjab haiN ajeeb basti hai
Yaha to paani bhi mahnga hai maut sasti hai
HaiN dil laeenoN ke patthar, Chalo yahan se chaleN
Sakeena kahtiN thiN Asghar, Chalo yahan se chaleN

Mile ga pani to pahle tumhe pilaooNgi
Khushi se naaz tumhare main sab uthoon gi
Bahen nisaar ho tumpar, Chalo yahan se chaleN
Sakeena kahtiN thiN Asghar, Chalo yahan se chaleN

Bayaan karne mein rota hai dil Munnawar* ka
Gala Sakeena ka aada ne iss tarhaN bandha
Na kah saki woh phir, Chalo yahan se chaleN
Sakeena kahtiN thiN Asghar, Chalo yahan se chaleN

Shares
Scroll to Top