Nauha Tha Yeh Zainab Ka Qaid Ho Ke Jaati Hoon
Wordings
English
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Lut gayi Meri duniya, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Chal basa Mera Bhai, Main hooN aur tanhayi
Koi bhi nahiN apna, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Ibn e Saaqi e Kausar, dono haath katwa kar
So gaye lab e dariya, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Mujhko naaz tha jis par, Hum Shabi e Payambar
Who bhi ab nahiN zinda, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Aun o Jafar O Abbas, kar gaye Mujhe be aas
Kisse ab karooN shikwa, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Qatl ho gaya doohla, dooba khoon mein sehra
Ho gayi Dulhan bewa, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Jab se jal gaye khaimeN, sahme sahme haiN bachche
Zulm karte haiN aada, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Jalti reit pa Asghar, Kaise neend aayegi
Tap raha hai rann saara, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Khaye haiN tamache bhi, Tashnalab Sakeena ne
Kaise le chalooN usko, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Tashnalab Sakeena ke, Dukh nahi sahe jate
Kisko do sada Bhaiyya, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Sadqe Tumpe Majaye, Mere Bekafan Bhai
Kaise chain aaye ga, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Ilteja Meri sun lo, Sheh ke saathiyoN uttho
Lo Salaam Zainab ka, qaid ho ke jaati hooN
Nauha tha yeh Zainab ka qaid ho ke jaati hooN
Rann mein Bint e Zaherra ki, Yeh Sada Munnawar* thi
Gham liyea bahattar ka, qaid ho ke jaati hooN