Khud Zameen Royi Aasmaan Roya
Wordings
English
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Baad e Shabbir, kul jahaN roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Le kar Asghar ki laash haatoN par
Karbala tera MehmaaN roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Kar ke qurbaan apne PhooloN ko
Deen e Haq tera BaagbaN roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Khushk thi iss qadar zabaan Shah ki
Baap ki pyaas par JawaN roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Pyaas ko yaad kar ke Baba ki
Umr bhar eik NatawaN roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Haaye Beemar e NatawaN Aabid
Yeh na poocho kahan kahan roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Shah sa Saabir zameen e maqtal meiN
Kar ke Besheer ko neha roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Jab likha Karbala ke bare meiN
Eik eik harf e dastaaN roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Yaad kar ke Hussain aap ki pyaas
Har qadam Meer e KarawaN roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Shaam o kufa ke raste meiN na pooch
Kiss qadar eik NatawaN roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Dasht meiN Karbala ke ai Jawed*
Kya bataooN kahan kahan roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya))
Zaad pa nawak ki muskurata raha
Rann meiN kab Shah ka woh JawaaN roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
Jurm par apne qatile Asghar
Khaich kar chilla e kamaaN roya
Khud zameeN royi aasmaaN roya
