Mushkilkusha Ki Dukhtar – Zainab Kise Pukare
Wordings
English
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
Sarwar haiN zer e khanjar, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
Sajde meiN Shah e Deen haiN, aur pusht par hai Qatil
Majboor Shah ki Khawar, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
LaasheN haiN NasiroN ke, Jalti hui zameeN par
Hai bekasi ka manzar, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
SaydaniyoN ko zalim, durrey laga raheN haiN
Chhinti hai sar se chadar, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
Abbas soo raheN hain, Bazoo kata ke apne
Qasim haiN ab na Akbar, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
Hai yeh maraz ki shiddat, Aabid padeN haiN ghash meiN
Aur jal raha hai bistar, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
Kis se kahe Sakina, zakhmi hai pusht sari
Kurta lahoo se hai tar, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
Pyase yateem Bachche, Jalti hui qanateN
Har soo bapa hai mehshar, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
(((Zulm o sitam ke sholay, KhaimoN se utth raheN haiN
Kaise bachayeN chadar, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
Darbaar meiN sitam ke, Haider ki BetiyaN haiN
Laya kahaN muqqadar, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare)))
Javed* jism saara, Jakada hai rassiyoN se
HaiN neel bazoo’N par, Zainab kise pukare
Mushkilkusha ki Dukhtar, Zainab kise pukare
