Jab Madine Ka Musafir Koi Paa Jaata Hoon

Anjuman NIL
About General

Wordings

English

Jab Madine ka Musafir koi paa jaata hooN
Hasrat aati hai yeh paucha, maiN raha jata hooN
Do qadam bhi nahiN chalne ki hai mujhme taqat
Shaq khaiche liye jata hai yeh, maiN kya jaata hooN

Qafile wale chale jate hain aage aage
Madadai shauq ke peeche maiN raha jata hooN
Kaarawan meiN rahe, Yasrab me hooN agaaz dera
Sab meiN shamil hooN magar sab se juda jaata hooN

Jab Madine ka Musafir koi paa jaata hooN
Hasrat aati hai yeh paucha, maiN raha jata hooN

Faiz e Maula se abhi sabr ki taqat hai Ameer*
jo kadi samne aati hai utha jaata hoon
Jab Madine ka Musafir koi paa jaata hooN
Hasrat aati hai yeh paucha, maiN raha jata hooN

Shares
Scroll to Top