Ro Ke Zainab Ne Kaha – Aao Najaf Se Murtaza
Wordings
English
Ro Ke Zainab ne kaha, Aao Najaf se Murtaza
Katta hai Shah ka gala, Aao Najaf se Murtaza
Ro Ke Zainab ne kaha, Aao Najaf se Murtaza
Jal gaye khaime, Sakeena ke Gauhar bhi chhin gaye
Lutt gayi Sar se rida, Aao Najaf se Murtaza
Ro Ke Zainab ne kaha, Aao Najaf se Murtaza
Khaak par baithe hueN hain, Ahlebait e Mustafasa
Woh hui ham par jafa, Aao Najaf se Murtaza
Ro Ke Zainab ne kaha, Aao Najaf se Murtaza
Ab na koi moonis o yawar, na Qasim rah gaya
Chhah gayi gham ki ghata, Aao Najaf se Murtaza
Ro Ke Zainab ne kaha, Aao Najaf se Murtaza
Abid e Beemaar ko zanjeer pahnayi gayi
Tauq mein jakda gala, Aao Najaf se Murtaza
Ro Ke Zainab ne kaha, Aao Najaf se Murtaza
Taziyane iss qadar maare Sitagamgar ne mujhe
Kul badan zakhmi hua, Aao Najaf se Murtaza
Ro Ke Zainab ne kaha, Aao Najaf se Murtaza
BazooN mein hai rasan aur sar par chadar bhi nahin
Phir rahin hoon jabaja, Aao Najaf se Murtaza
Ro Ke Zainab ne kaha, Aao Najaf se Murtaza
Eik rasan mein iss tarah jakdi gayin Saidanyaan
Zulm ki hai intehaa, Aao Najaf se Murtaza
Ro Ke Zainab ne kaha, Aao Najaf se Murtaza
Mai bhare darabaar meiN namehramoN ke saamne
Jaa rahi hooN berida, Aao Najaf se Murtaza
Ro Ke Zainab ne kaha, Aao Najaf se Murtaza
Har qadam Zainab ki thi faryaad Mahir* baad e Sheh
Sher e haq Mushilkusha, Aao Najaf se Murtaza