Zalim Nei Aaj Shamm E Imamat Bhujaye Hai

Wordings

English

Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai
Talwaar sar pe Sher E Khuda ke lagayi hi
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Dar asl jiski subha qayamat se kam nahin,
Duniya mein aaj mominoN woh raat aayi hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Seene pe haat aakhoN meiN aasoo bhare hue
Sabki zabaan pe hai yehi Khaliq duhaii hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

IkkeswiN ki subha jo aayi hai dahar meiN
Hamraah apne eik qayamat bhi laayi hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Maula hamara jisko Nabi ne bataya tha
Mayyat usi ki kaandhoN pa hamne uthayi hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Waqt e akhir sab ko bula kar Imaam ne
Talkeen kar ke sab ki himmat badhayi hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Seene se phir Hassan ko laga ke yeh kahte thay
Izzat Tumhari aur Khuda ne badhayi hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Ab Tum hi Mere baad Imaam e Zamana ho
Zimme Tumhare aaj se akda kushai hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Zaher e daga se Tum bhi kiye jaao ge shaheed
Hisse meiN Hum sabhi ke shahadat hi aayi hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Phir pyaar kar ke kahne lage yeh Hussain se
Abbas sa jahaN meiN nahiN koi Bhai hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Yeh bhi shaheed ho ga Tumhare hi saath saath
Sehra hai gar tumhara to Iski taraai hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Aada ki tegh ke liye shaane haiN Bhai ke
Rassi ke waaste hi Bahen ki kalaai hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Maula e Kayaanat ne phir zouf se kaha
Tum log ab dua karo waqt e judai hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Aaiye nida e ghaib se Haider Guzar gaye
Gibreel ki sada hai ke Khaliq duhaai hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Jitna bhi royeN kam hai hamare liye Khirad*
Mukhtaar e Kaynaat ki ham se judaii hai
Zalim ne aaj Shamm e Imamat bujhayi hai

Shares
Scroll to Top