Mohibbon Jaane Payambar Ki Yeh Sawari Hai

Poet Unknown
Anjuman NIL

Wordings

English

Mohibbon Jaane Payambar ki yeh Sawari iai
Hasan ke Chhote Baradar ki yeh Sawari hai
Butool e Paak ke Dilbar ki yeh Sawari hai
Ke Ibne Haidar e safdar ki yeh Sawari hai
Hussain kushtae Khanjar ki yeh Sawari hai

Adab se qayede se sar jhukae saath chalo
Uda ke khaak kaho Haye Sayyade khush khoo
Yeh chahiye hai ke sar peeto aur giryaN ho
Mila na ghusl o kafan jis Ghareeb o Bekas ko
Usi Shaeed ki, Bekas ki yeh Sawaari hai

Hussain Ibn e Ali Tashnakaam par Sajde
Jhulaya jhoole mein Gibreel ne jise aksar
Janaab e Fatema Zahera ki jaan Noor e Nazar
Shaheed o Bekas o Mazloom fidiya e dawar
Nabi ke deen ke Yawar ki yeh sawari hai

Diya na aab laeenoN ne jisko ghurbat meiN
Butool jiske liye peeTti haiN jannat meiN
Khud ka shukr kiya jisne har musibat meiN
LaeeN ne kaata gala jiska haq ki ta’at meiN
Usi ghareeb ki Muztar ki yeh sawaari hai

Shaheed ho gaya jo teen roz ka pyaasa
Libaas le gaye sab loot kar sitam’aara
Jo zulm ho gaye unko bayan kare koi kya
Hua yeh qaher ke pamaal ho gaya lasha
Hazaar haif usi Sarwar ki yeh sawari hai

Ali bhi Fatima bhi thiN Hussain ki shahda
Yeh motabar hai rawait ke roz eid ka tha
Libaas bheja Khuda ne yeh martaba paya
Kiya khush inko bane ashk rahmat e wala
Sawaar e Dosh e Payambar ki yeh Sawari hai

Yeh who ghareeb hai jisko mila na ghusl o kafan
raha hai dhoop meiN be goar jiska zakhmi tan
jo tha Butool ka kirdaar aur Imaam e Zaman
Phiri hai barhana sar Karbala meiN jiski Bahen
Usi Ghareeb usi Safdar ki yeh Sawaari hai

Shares
Scroll to Top