Nok E Sina Par Rote Thay Sarwar – Meri Bahen Beparda Hai
Wordings
English
Nok e sina pa rote thay Sarwar, Meri Bahen beparda hai
Dekh rahe ho Beta Akbar, Meri Bahen beparda hai
Ahle Haram rassi mein bandhe haiN, Log tamasha dekh raheN hain
Haye bayan ho kaise manzar, Meri Bahen beparda hai
Jab bhi nigaheN utthtin haiN Meri, Zainab par ruk jaatiN haiN
haath meiN rassi, Haye Khula sar, Meri Bahen beparda hai
Tum ne kiya Abbas yeh behtar, Aaye na Tum jo nok e Sina par
Warna tum bhi rote Baradar, Meri Bahen beparda hai
Aaye sada Abbas ke sar se, Achcha hai kha lena thokar
Kaise warna dekhta manzar, Meri Bahen beparda hai
Fauj e laeen jab loot rahi thi, Bhai ko Zainab dhoond rahi thi
Laash tadapti thi darya par, Meri Bahen beparda hai
Humne ekhattar laashe utthaye, Lekin Baba tum nahiN aaye
Lutt gaya Hayee Mera bhara ghar, Meri Bahen beparda hai
Ek din Meri Maa ka janaza, Parda e Shab meiN utthta tha
Haye re qismat wah re muqqaddar, Meri Bahen beparda hai
Laash e Sakeena goad mein le kar, soch rahi hai Meri Khaahar
Laye kahaN se gosha e chadar, Meri Bahen beparda hai
Jo bhi Raza* shia haiN mere, unse itna kah dena
Pesh kareN phooloN ki chadar, Meri Bahen beparda hai
Jago jago Qasim o Akbar, Utthu uttho Aun o Mohammad
Dekho toh Abbas e Dilawar, Meri Bahen beparda hai
Koofe ka bazaar saja hai, Namehram ka majma laga hai
MaujeN leta jaise samandar, Meri Bahen beparda hai
Koi nahin ghurbat mein aisa, eik rida jo de sakta
Gard e Safar tu ban ja chadar, Meri Bahen beparda hai
Aao madaad ko Baba Haider, Meri Bahen beparda hai
