Tha Yeh Bano Ka Bayan – Tujhko Dhoondon Main Kahan
Wordings
English
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
Aye Mere Tashna dahaN, Tujhko dhundhu MaiN kahaN
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
Aye Mere Noore Nazar, aye Mere Mahelaqa
Haye afsos Tere, sar pe sehra na bandha
Dil se uthta hai dhuwaN, Tujhko dhundoN maiN kahaN
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
Ran me tanha haiN Husain, koi yawar bhi nahi
Kis tarah se ye kahuN, Nanha Asghar bhi nahi
Mustarib hai teri Maa, Tujhko dhundoN maiN kahaN
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
Zalzale me hai zameen, arsh bhi kaaNp utha
Zere Shamsheer hai ab Shah e Wala ka gala
Hai malak mahwe fughaN, Tujhko dhundoN maiN kahaN
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
Aag khemo me lagi, sara asbabb luta
Nanhe Asghar ka mere, haye jhoola bhi jala
Tu hai nazroN se nehaa, Tujhko dhundoN maiN kahaN
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
Aao ab bahre madad, Sar se chadar bhi chhini
Haye rone pe mere, muskurateN haiN layn
Ab hai andher jahan, Tujhko dhundoN maiN kahaN
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
Lasha e Ibne Hasan, jab ke pamaal hua
Aye mere Laal bahot, royeN haiN Shah e Huda
Aye mere Sher e Jawan, Tujhko dhundoN maiN kahaN
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
Qaid se chhoot ke ab, ja rahi huN maiN watan
Kya MaiN Sughra se kahuN, aye Mere Ghuncha Dahen
Muntazir hai teri Maa, Tujhko dhundoN maiN kahaN
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
Aye Bahaar* aathoN paher, thi ye Bano ki sada
Aye Mere Rashq e Qamar, Tu hai kyoN Maa se khafa
Tujhko dhundoN maiN kahaN, Tujhko dhundoN maiN kahaN
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
Rukh pa Khwahar ki Tere, ab tamache bhi lage
Khoo hai kaano se rawan, haye gauhar bhi chhine
Woh tadapti hai yahaN, Tujhko dhundoN maiN kahaN
Tha yeh Bano ka bayaN, Tujhko dhoondoN maiN kahaN
