Nala E Zainab Sham E Ghareeba Aao Najaf Se Aye Baba
Wordings
English
Nala e Zainab sham e ghareeba, aao Najaf se aye Baba
Naize ke oopar aa gaya QuraaN aao, Najaf se aye Baba
Nala e Zainab sham e ghareeba, aao Najaf se aye Baba
Khaak par hum sab baithe hueN haiN
Jalte khaimeN paas pade hain
Hum haiN giryaN, Bachche hairaN, aao Najaf se aye Baba
Nala e Zainab sham e ghareeba, aao Najaf se aye Baba
Kis-kis par MaiN ashq bahaooN
Manzar e maidaiN kaise bataooN
Bikhra pada hai khaakh par QuraaN, aao Najaf se aye Baba
Nala e Zainab sham e ghareeba, aao Najaf se aye Baba
Goad ke paale rann meiN pade haiN
Hum yuh soo e shaam chale haiN
Bazoo bandhe hain chehre uriyaN, aao Najaf se aye Baba
Nala e Zainab sham e ghareeba, aao Najaf se aye Baba
Hota koi to shaana hilata
Sher ko Mere jaa ke jagata
Nahar par jaa ke sooya NigebhaaN, aao Najaf se aye Baba
Nala e Zainab sham e ghareeba, aao Najaf se aye Baba
Chhote Bachche sahme huey haiN
Hum ko andhere ghee hue haiN
Fauj e yazeedi meiN hai charagha, aao Najaf se aye Baba
Nala e Zainab sham e ghareeba, aao Najaf se aye Baba
Raat hui hai jhoola jhulate
Jhoole se dil ko main bahla ke
Dhoond rahi hai jhoole ko Maa, aao Najaf se aye Baba
Nala e Zainab sham e ghareeba, aao Najaf se aye Baba
Lutt gaye mere sar ki chadar
Kahti haiN Mahir* Zainab e Muztar
Chhere par haiN baal pareshaaN, aao Najaf se aye Baba
Nala e Zainab sham e ghareeba, aao Najaf se aye Baba
