Sakeena Ki Thi Yeh Fughaan – Zuljanan

Wordings

English

Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN
HaiN Baba hamare kahan, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Gaye jab se Baba ko tum le ke maidan
HaiN aakhon se aasooN rawaN, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Akela Padar ko kahan chhorh aaye
Karo kuch to mujhse bayan, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Mujhe unke pahlu meiN ja kar sula do
Ke soye haiN Baba jahan, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Gaya jo bhi maidan me palta nahi hai
Yeh kaisa sitam hai yahan, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Mere waaste ab andhereN hain har su
Hai Ghamgeen zameen, aasmaan, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Abhi tak wok kaanoN mein goonji hui hai
Jo Akbar ne di thi Azan, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Na hain paas Ammu, na hain paas Akbar
Na jhoole mein hai Bezabaan, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Jalate hain aada khayaam e Hussaini
Utha phir diloN se dhuaN, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Bohut too bhi pyaasa hai, main jaanti hoon
Hai paani pe pahra yahan, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Chaman sara ujada Shah e Karbala ka
Yeh aayi hai kaisi khizan, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Suna hai ke Akbar bhi Jannat sidhare
Kaleje pa kha kar sina, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Raza* ke liye tu dua itne kar de
Mile us ko raahe Jinan, ZuljanaN
Sakeena ki thi yeh fughaan, ZuljanaN

Shares
Scroll to Top