Zulm Laeen Yeh Kya Kiya – Anjuman E Sajjadiya Qadeem
Wordings
English
Zulm laee’n yeh kya kiya, khauf e Khuda na kuch kiya,
Maara Ali ko be khata, khauf e Khuda na kuch kiya,
Zulm laee’n yeh kya kiya, khauf e Khuda na kuch kiya,
Tha jo Nabi ka Janasheen, tha jo Imaam e Momineen,
Sajde meiN Uspe ki jafa, khauf e Khuda na kuch kiya,
Zulm laee’n yeh kya kiya, khauf e Khuda na kuch kiya,
Hil gaye saaton aasma’n, aaya zameeN ko zalzala,
Waar shaqi ne jab kiya, khauf e Khuda na kuch kiya,
Zulm laee’n yeh kya kiya, khauf e Khuda na kuch kiya,
Laya bujha ke zeher se, tegh laeen yeh haef hai,
Qatl namaz mai kiya, khauf e khuda na kuch kiya,
Zulm laee’n yeh kya kiya, khauf e Khuda na kuch kiya,
Kehte the yeh Hasan Hussain, peet ke sar ba shor o shain,
Qatl Imaam ko kiya, khauf e Khuda na kuch kiya,
Zulm laee’n yeh kya kiya, khauf e Khuda na kuch kiya,
Haef hai duniya ke liye choRda laee’n ne deen ko,
Qatl Imaam ko kiya, Khauf e khuda na kuch kiya,
Zulm laee’n yeh kya kiya, khauf e Khuda na kuch kiya,
Maara Ali ko bekhata, khauf e Khuda na kuch kiya,
